Send Free sms to any Network in the Pakistan Presented by Shujat Hussain (M.S) Contact # 03057450227 Email shujata137@gmail.com

Mix Sad Ghazals

, by Unknown

            wasi shah poetry SMS

Muje Sandal Kar Do



wasi shah-ghazal
Apne Ihsaas Se Cho Kar Muje Sandal Kar Do
Main Ke Sadiyon Se Adhora Hon Mukamal Kar Do
Na Tumhain Hosh Rahe Aur Na Muje Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho Muje Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apne Hath Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Dhop Hi Dhop Hoon Main Toot Ke Barso Muj Par
Me Tu Sehra Hon Muje Pyar Ka Badal Kar Do
Us Ke Saye Main Mere Khawab Mehak Uthain Gay
Mere Chehray Pe Umeedon Bhra Aanchal Kar Do
Apnay Honton Se Koi Mhr Lgao Muj Par
Ik Nazar Pyar Se Dekho Muje Ghayal Kar Do



amjad-islam-amjad
Bas Tum Muje Achi Lagti Ho
Tum Itni Sundar Ho K Nahi
Tumhain Ik Nazar Jo Dekhe Wo
Sudh Budh Bhole Madhosh Rahe
Bas Tum Muje Achi Lagti Ho
Tum Hans Do Tu Mosam Badlain
Tu Jago Tu Dunya Jage
Jilmal Jilmal Manzar Hon Sab
Aur Na Soje Kuch Aage
Bas Tum Ko Dekhain, Dekhte Reh Jayen
Ma’alom Nahi Tum Itni Pyar Ho Ke Nahi
Itni Sundar Ho K Nahi
Bas Tum Muje Achi Lagti Ho
 



ahmad-nadeem-qaasmi-ghazal
Jab Tera Hukm Mila Tark-e Mohabat Kar Di
Dil Mgar Is Pe Wo Dharka Ke Qyamat Kar Di
Tuj Se Mai Kis Tarah Azhar-e Tmna Karta
Lafz Soje To Maani Ne Bghwat Kar Di
Mai Tu Samjha Tha Ke Lot Aate Hai Jane Wale
Tu Ne ja Kar Tu Judai Meri Qismat Kar Di
Muj Ko Dushman Ke Iradon Pe Bi Pyar Ata Hai
Teri Ulfat Ne Mohabat Meri Aadat Kar Di
Poch Betha Hon Mai Tuj Se Tere Koche Ka Pta
Teri Halat Ne Kesi Teri Soorat Kar Di

 
pyar-urdu-poetry
Ham Ne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mehkti Khusbo
Hath Se Cho Kar Isay Rishton Ka Ilzam Na Do
Sirf Ihsaas Hai Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do
Pyar Koi Bol Nahi, Pyar Awaz Nahi
Ik Khusbu Hai Ke Sansoon Main Rachi Rehti Hai
Na Ye Rukti Hai Na Jalti Hai Na Thehrti Hai Khain
Noor Ki Bond Hai Sadiyon Se Baha Karti Hai
Sirf Ihsaas Hai Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do



bahadur-shah-zafar-poetry
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hon
Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon
Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun
Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon



urdu-ghazal-nazam
Tumhain Bakshi Hai Dil Pe Hukmarani, Aur Kia Dete
Yehi Thi Bas Hamari Rajdhani, Aur Kia Dete
Sitaron Se Kisi Ki Mang Bharna Ik Fasana Hai
Tumhare Naam Likh Di Zindgani, Aur Kia Dete
Wo Ham Se Mangta Tha Umar Ka Ik Dilnishain Hissa
Na Dete Us Ko Ham Apni Jawani, Aur Kia Dete
Bicharte Waqt Us Ko Ik Na Ik Tuhfa To Dena Tha
Hamare Pass Tha Aankhon Main Pani, Aur Kia Dete



bewafa-poetry
Yun tu har ki galti ko suljha tu ne
phir kyun na meri galti ko bhulaya tu ne
mai tu anjan tha is rah se bilkul
phir kyun is par chalne ko uksaya tu ne
ishq na tha tu gham na tha zindagi mai
gham kis ko kehte hai batlaya tu ne
ashkon se yehi ahh nikalti hai ab tu Aasim
lot ayo k buhat hai sataya tune



habib-jalib-ghazal
Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham
Lekin Ye Kia K Shehr Tera Chor Jayen Ham
Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye
Awargi Se Dil Ku Kahan Tak Bachyen Ham
Shayad Baqed-e Zeesat Ye Sa’at Na Aa Sake
Tum Dastan-e Shoq Suno Aur Sunain Ham
Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehr Ki Faza
Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham
Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udas Hai
Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Ham



parveen shakir ghazal
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha



ahmad faraz shayari
Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jate Hain
Gar muhabat main sidaqat bi ho shidat bi
Phir to ihsaas hai pathar bi pighal jate hain
Us ki aankhon ke nashe main hoon jab se dooba
Larkharate hain qadam sambhal jate hain
Bewafa ka jab bi muje khyal aata hai
Ishk aankhon se rukhsar bi pigal jate hain
Pyar main aik hi mosam hai baharon ka faraz
Log mosam ki tarah kese badal jate hain



jeet-sakta tha
Mein Pa Na Saka Kabi Is Khalsh Se Chutkara
Wo Muj Se Jeet Bi Sakta Tha Jane Kun Hara
Baras Ke Khul Gaye Aansu Nithar Gayi Hai Faza
Chamak Raha Hai Sar-e Sham Dard Ka Tara
Kisi Ki Aankh Se Tapka Tha Ik Imanat Hai
Meri Hathili Pe Rakha Hoa Ye Angara
Jo Par Samete To Ik Shakh Bi Nahi Payi
Khule Thay Par Tu Mera Aasman Tha Sara
Wo Sanp Chor De Dasna Ye Mein Bi Kehta Hoon
Magar Na Chorain Gain Log Is Ko Gar Na Phankara

Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Poetry, Mohsin Naqvi Urdu Poetry, Urdu Poetry By Mohsin Naqvi,

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay?
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi?
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin?
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein.
 

Mohsin Naqvi, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Naqvi Heart Touching Poetry, Mohsin Poetry, Mohsin Naqvi Ghazal Poetry,

Gumsum Howaa Awaaz Ka Dariya Tha Jo Ek Shakhs
Pathar Bhi Nahi Ab Woh, Sitara Tha Jo Ek Shaks,

Shayad Woh Koi Harf-e-Wafa Dhoondh Raha Tha
Chehron Ko Bare Gor Se Parhta Tha Jo Ek Shaks,

Sehraa Ki Tarah Dair Se Piyasa Tha Woh Shayad
Badal Ki Tarah Toot Kay Barsa Tha Jo Ek Shaks,

Aye Tez Hawaa Koi Khabar Us Kay Januu Ki ?
Tanha Safar-e-Shaoq Pe Nikla Tha Jo Ek Shaks,

Ab Aakheri Satron Mein Kaheen Naam Hai Uk Ka
Ahbaab Ki Fehrist Mein Pehla Tha Jo Ek Shaks,

Hathon Mein CHupaye Howe Pherta Hai Kai Zakhm
Sheeshe Kay Khelon Se Behlta Tha Jo Ek Shaks,

Mur Mur Kar Usay Dekhna Chahen Meri Aankhen
Kuch Door Mujhe Chorne Aaya Tha Jo Ek Shaks,

Ab Us Ne Bhi Apna Liye Duniya Kay Qareene
Saaye Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ek Shaks,

Har Zehn Mein Kuch Naqsh-e-Wafa Chor Giya Hai
Kehne Ko Bhare Shaher Mein Tnha Tha Jo Ek Shaks,

Munkar Hai Ab Wohi Meri Pehchan ka "Mohsin"
Aksar Mujhe Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ek Shaks.
 
haseen-khawb
Haseen Khwab Dikha K Bhol Jate Hain
Log Apna Bna K Bhol Jate Hain
Judai Ka Naam Sun Ke Rone Wale
Kuch Dor Ja Ke Bhol Jate Hain
- See more at: http://www.sadpoetry.org/category/judai-shayari/#sthash.MxEdP5KJ.dpuf

                             Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy


Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy
Ajeb Shakhs Hy Khud Se Bad-Guman Krta Hy,

Na Meri Parwa Hy Na Mery Haal Ki Kuch Khabr
Salook Wo Karne Laga Hy Jaise koi Anjaan Krta Hy,

Wo Mery Zikar Pe Uktana
Mujhse Katraa K Guzar Jana,

Aisa Lagta Hy Jaise Wo Dori Ka Saman Krta Hy
Pehle To Mujhse Milna He Aham Tha Jis K Liye,

Ab Milta B Hy To Jaise Ehsan Krta Hy
Taluq Torna Hy To Aa K Keh Dy Mjhse
Wo Aisi Baten Ghiron Se Q Bayan Krta Hai.

Reh na pao ge kabhi bhula kar dekh lo


Reh na pao ge kabhi bhula kar dekh lo
Yakeen nahi aata to aazma kar dekh lo,

Har jaga mehsoos hogi kami humari
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo.

Kab tak raho gaye aakhir yoon door door hum se


Kab tak raho gaye aakhir yoon door door hum se
Milna prray ga aakhir ik din zaroor hum se,

Daman bachanay walay ye berukhi hai kesi
Keh do agar huwa hai koi qusoor hum se?,

Hum chhor dain gaye tum se yoon baat cheet karna
Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se,

Hum cheen lain ge tum se ye shaan-e-benyazi
Tum maangtay phiro ge apna garur hum se.

Staa Da Zwani Sta Da Khukala De Pake

Staa Da Zwani Sta Da Khukala De Pake
Ghazal Zama, Khabare Sta De Pake,

Pa De Gulshan Bande Nom Cha Aekhay Day
Nakhe Kho Tole Da Sehra De Pake,

Dase Mazhab Day Ragad Shwe Ashna
Da Pukhtano Wajal Rawa De Pake,

Zama Ao Sta Pa Bagh Ki Hes Nashta Day
Sa Da Lala Sa Da Mama De Pake,

Dase Watan Ke Peda Shwe Yo Mong
Khalqa ! Jannat Ta Tlal Werya De Pake,

Pa De Bazaar Ki Doday Na she Munday
Ka Ta Barood Akhle Balaa De Pake,

Da De Israr Waina Ta Ghwag Ma Nesaye
Nakhe Pakhe Da Lewantyaa De Pake.

Be Chain Umangon Ko Behla K Chale Jana


Be Chain Umangon Ko Behla K Chale Jana
Hum Tum Ko Na Roken Ge Bs Aa K Chale Jana,

Milne Jo Na Aaye Tum Thi Kon C Majbori
Jhota Koi Afsana Dohra K Chale Jana,

Jo Aag Lagi Dil Me Wo Sard Na Ho Jaye
Bujhte Huway Sholon Ko Bharka K Chale Jana,

Ujrri Nazar Ati Hai Jazbat Ki Haryali
Tum Is Pe Koi Badal Barsa K Chale Jana,

Furqat Ki Aziyat Mein Kuch Sabr B Lazim Hai
Ye Bat Mere Dil Ko Samjha K Chale Jana.

Kab tak tu mera hone se inkaar karega


Kab tak tu mera hone se inkaar karega
Khud toot kar tu ek din mujhse pyar karega,

Ishq ki aag me mai tujh ko itna jala dungi
Ki izhar tu mujhse sar-e-bazaar karega.

Kaise Rahe Door Sarkaar Aap Se


Kaise Rahe Door Sarkaar Aap Se
Humein Ho Gaya Hai Pyaar Aap Se,

Ho Jaayen Hum Kaise Kisi Gair Ke
Jeene Marne Ka Hai Ikraar Aap Se,

Bade Shonk Se Keh Diya Bhula Do
Sikhe Koi Dil Par Karna Vaar Aap Se,

Is Tarah Na Ruswaa Kariye Hum Ko
Kare Ye Chahat Iltija Dildaar Aap Se,

Bin Humare Kya Tanha Jee Paaoge
Puchhe Mohabbat Ka Hisaar Aap Se,

Din-Raat Jaloon Aarzu-E-Ishq Mein
Hoga Mera Khatam Intezaar Aap Se,

Jaise Chahen Le Lo Mera Imtehaan
Na Karenge Koi Shikwaa Yaar Aap Se.

Na Jine ki Khushi Na Marne ka Gum


Na Jine ki Khushi Na Marne ka Gum
Unse Milne ki Dua Bhi Nahi Karte Hum,

Jite Hai isliye ke sayad wo Ek Din Ayenge
Marte Isliye Nahi ki wo Akele Reh Jayenge.

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey,

Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey,

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey,

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey,

Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey,

Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey.

Be-wafa Koi Sitamger Bhi To Ho Sakta Hai, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Sad Image Poetry,

Be-wafa Koi Sitamger Bhi To Ho Sakta Hai
Mera Qatil Mera Rehber Bhi To Ho Sakta Hai,
Ek Mudat Se Tuje Wird Mein Rakha Jis Ne
Wo Muhbbat Mein Qalandar Bhi to Ho Sakta Hai,
Tere Koochy Mein Jo Aya Hai Ghulamon Ki Tarha
Apni Basti Ka Sikandar Bhi To Ho Sakta Hai,
Silsilawar Agar Ashak Bhi Giray Jaein
Yeh Jo Sehra Hai Samandar Bhi To Ho Sakta Hai,
Kab Talak Tere Khyalon K Sahary Jiye Jaein Mohsin
Dil Teri Yaad Se Munkar Bhi To Ho Sakta Hai,

Faiz Ahmed Poetry, FAiz URdu Poetry, Images Poetry,


Barish Aur Main, Dono Ek Jaisay Hain


Barish Aur Main, Dono Ek Jaisay Hain
Rote Hain, Tarrapte Hain

Sisakte Hain, Machalte Hain
Bond Bond Dard Ka

Khamoshi Se Apni Ragoon Main Utaar Lete Hain
Aur Phr Muskura Kar Chupke Se

Chup Ki Chaddar Orrh Lete Hain
Haan Sahyad

BARISH Aur MAIN Dono Ek Hi Jaisay Hain.

Urdu Poetry

Bhoht dino se thi ye Aaman ki sazish
Aaj pori howi un ki khwahish

Beeg lo Aapno ko yaad kar k
Mubarak ho aap ko December ki ye baarish.  

Raat ki tanhae may Shor tha tu barish ka...

Raat ki tanhae may
Shor tha tu barish ka

Toot kay kahen barsaa
Kon thii jo aaye thi

Khowab koye laye thi
Tooty ghar kay aangan may

Aak udase chaye thi
Pochte thi kon hay woo

Kion yahan par aaye thi
Ujree maang woo bheti

Haath may toote chori
Aur rang tha mehndi ka

Ajj phir say bikhre thi
Khowab shayed toota tha

Aankh say bhte nadya
Shor tha too barish Ka
Toot kay kahein barsaa

Bachpan Ka zamana Hota Tha...


Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushiyon Ka Khazana Hota Tha,

Chahat Chaand Ko Pane Ki
DiL Titli Ka deewana Hota Tha,

Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha,

Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Tekana Hota Tha,

Mati k gar banate the or un ko girana hota tha
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi,

Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha
Barish Me Kaghaz ki Kashti

Har Mosam suhana Hota Tha
Wo Khel Wo saathi Hote The

Har Rishta nibhana Hota Tha. 

Facebook Password, Funnu Poetry, Image Poetry, Urdu Image Poetry, Just Chill Sms, Just Chill Poetry,


Ye kaisay momkin tujhay bhol jaon
Tere naam per he tu main ne apne FACEBOOK ka Password raka hay. 

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Naqvi,


Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.
 

Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He


Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He
Rang Phooty, Kaheen Khushbu Ki Rasan Tooti He,

Maut Aai He k Taskeen Ki Sa'at Aai
Saans Tooti He k Sadiyon Ki Thakan Tooti He,

Seena-e-Gul Jahan Nikhat Bhi Giran Thehri Thi
Teer Ban Kar Wahan Sooraj Ki Kiran Tooti He,

Dil Shikasta To Kai Baar Huye Thay Lekin
Ab k Youn He k Har Ek Shakh-e-Badan Tooti He,

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti He,

Aik Sho'la k Tah-e-Khaima-e-Jaan Lapka Tha
Aik Bijli k Sar-e-Sehan-e-Chaman Tooti He,

Silsilah Tujhse Bicharnay Pe Kahan Khatm Huwa
Ek Zamanay Se Rah-o-Rasm-e-Kuhan Tooti He,

Mery Yaaron k Tabassum Ki Kiran Maqtal Hain
Nauk-e-Naizah Ki Tarah Zair-e-Kafan Tooti He,

Raizah Raizah Me Bikharta Gaya Har Su Mohsin
Sheeshah Sheeshah Meri Sangeeni-e-Fan Tooti He.
 

Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya, Mohsin Naqvi, Mohsin Poetry,


Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Hum Nay Khizan Men Jashn-e-Baharan Mana Liya,

Suraj Se Chaal Chal k Bayaban Ki Dhoop Ne
Ek Bay Kafan Darakht Ka Saya Chura Liya,

Barbadiyon Ki Raat! Meri Bebasi To Dekh
Girtay Huay Makan Nay Mera Aasra Liya,

Yaaron Ka Zikr Kiya k Wafa Ki Talash Men
Hum Nay To Dushmano Ko Bhi Dil Men Basa Liya,

Aahat Suni Hawa Ki To Mohsin Nay Khauf Se
Jalta Huwa Diya Tah-e-Daama Chupa Liya.
 

Mohsin Nqavi, Mohsin Naqvi Urdu Poetry, Mohsin Naqvi Ghazal, Woh Din Kahan k Ab Koi Mehfil Sajaiye,


Woh Din Kahan k Ab Koi Mehfil Sajaiye
Ek Dil He So Isi Se Mohabbat Nibhaeye,

Mansoob Kis Se Kijye Ashkon k Aainey
Ab Kis Ki Raah Me Ye Khazanay Lutaeye?,

Manzar Jo Aankh Men He Ganwa Dijye Usay
Pathar Jo Dil Pe He Usy Kesy Hataeye,

Ab Kon He Jo De Humain Jeenay Ka Hosla
Etnay Dukhon Me Kis k Liye Muskareye,

Kab Tak Kisi Ki Yaad Se Rakhiye Muamlah
Aandhi Me Ek Chiragh Kahan Tak Jalaeye,

Mohsin Jo Pal Men Torr De Sadiyon Ki Dosti
Us Bewafa Ki Salgirah Kya Manaeye.
 

Mangay He Mujhse Dil Teri Sari Nishaniyan, mohsin Naqvi Poety, Mohsin Poetry,



Mangay He Mujhse Dil Teri Sari Nishaniyan
Batain Puraniyan' Wohi Raatain Suhaniyan,

Aankhon Me Gholti Hain Nashay Ki Sharartain
Chaalak Chandni Me Chehakti Jawaniyan,

Un Par To Qarz Hain Merey Harfon k Zaeqey
Ab Jinko Aagayen Bari Baati Bananiyan,

Ae Eshq Aa k Pher Se Koi Tajarbah Karain
Men Bhoolny Laga Hon Purani Kahaniyan,

Woh Terey Qehqahy Thay k Jaisey Hajoom Me
Tootain Kalaiyon Men Khanakti Kamaniyan,

Yeh Merey Ashk Hain k Paharron Me Jis Tarah
Roaen Basant Rut Me Naddi Ki Rawaniyan,

Ek Terey Roothney Se Fiza He Badal Gaye
Ab Shehar Bhar Me Phail Gayin Bad-Gumaniyan,

Mango Dua k Khailti Khilti Rahen Sada
Shehron Ki Dulhanain, Meri Basti Ki Raaniyan,

Mohsin Ko Kuch To Hadd-e-Sitam Ka Suragh De
Kab Tak Raqam Karon Me Teri Meharbaniyan?
 

Azab-e-Deed Mein Aankhein, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Poetry, Mohsin Naqvi Urdu Poetry, Urdu Poetry By Mohsin Naqvi,

Azab-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay
Mein Sharam-saaz Howa Teri Justaju Kar Kay,

Kander Ki Teh Say Bareeda Badan Sarron Kay Siwa
Milla Na Kuch BHi Khazanoon Ki Aarzo Kar Kay,

Suna Hay Shaher Mein Zakhmi Diloon Kar Mela Hay
Chalein Hum Bhi Magar Pair'hen Rafoo kar Kay,

Musafat-e-Shab-e-HIjraan Kay Baad Ba'ed Khula
Hawa Dukhi Hay ... Chiraghon Ko Be-A'abro Kar Kay,

Zameen Ki Piyaas Ussi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye
Woh Khush Howa Tha Samunder ko Aa'a-Bajo Kar Kay.
 
 
1
 
  Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log..
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log..
Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy..
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log..
Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal..
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log..
Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha..
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log..
Main to shama hoon meri umar hi kiya hai..
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log.....WAsi 

                         
                           2
                  
Apni dharkano Se kuch aisay mera naam Lo..
Ye waqat ruk jaye is lamhay ko thaam lo..Teri ankhon main jhalak hai asi mery piyar ki..
Sahil pe jesey dhalti haseen sham ho..
Lafzon se hota nahi izhar humse piyar ka..
Bas meri ankhon main dekh kar khud ko pehchan lo..
Jesey tarasta hai shera shabnam k choonay ko "Wasi"..
Kabhi wesy RAB se tum bhi mujhey maang Lo.. 

        
                          3
  
Dard Kya Hota Hai Bataen Ge Kisi Roz,
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunaen Ge Kisi Roz,
Thi Un Ki Zidd K Main Jaun Un Ko Manane,
Mujh Ko Ye weham Tha Wo Bulaen Ge Kisi Roz,
us Rab ki Qasam Main Ne To Socha Bhi Nahin Tha,
Wo Itna Mere Dil Ko Dukhaen Ge Kisi Roz,
Her Roz Aayine Se Ye hi Pochta Hoon Main,
Kya humare liye, Rukh Pe Tabbassam Bhi Sajaen Ge Kisi Roz,
Urrne Do In Parindon Ko Azaad Fiza Mein "WASI"
Tumhare Hon Ge to Lot Hi aaen ge kisi roz.  


                    

Hazaro Dukh Parray Sehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti Hai Tum Se Bus Yahi Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti Tera Mere Har Khat Ko Parrhna Aur Ro Dena Mera Har Baar Lek Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti Kiya Ta Hum Ne Campus Ki Nadi Pe Ek Haseen Waada BhaLay Hum Ko Parray Marna, Mohabbat Mar Nahi Sakti Puranay Ehd Ko Jab Zinda Karnay Ka KhayaL Aaye Muje Bus Itna Lek Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti Wo Tera Hijr Ki Shab Phone Raknay Se Zara PehLay Bahut Rotay Huway Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti Agar Hum Hasrato Ki Qabr Mai He Dafn Ho Jayain To Ye Qatbo Pe Lek Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti Puranay Raabto Ko Phir Naye Waaday Ki Khwahish Hai Zara Ek Baar To Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti MOHABBAT MAR NAHI SAKTI (Wasi Shah) 

                  5 

KHATA HY JURM HY IK SAZA HY MUHABAT Rqib-e-zmana hy jise bepanah hy muhbt suna hy shaiyron se ye mar k b znda hy sehraon mn bhtki hui ik sada hy muhbt Sooli pe chrha deti hy diwaron mn chunwa deti hy Phr q na kahain hm ye ik gunah hy muhbt Jb talak wo apna tha hm b kaha krte thy Poonam ka hy mausam aur SABA hy muhbt Ab khush hn WASI saza kch to km hui Acha hy hm se khafa hy muhbt ILAHI in husan walon se bacha le ab to Hum jan chukay hn akhir dagha hy muhbt KHATA HY JURM HY IK SAZA HY MUHBAT 

                

Bandh len hath pe sene pe saja len tumko Ji men ata he k tawez bna len tumko Hm sanwaren tumko barhata hwa dekhen tumko Q na angan men chanbeli sa saja len tumko Kbi khwabon ki tarhan ankh k parde men raho Kbi khwahish ki tarhan dil men basa len tumko He tmare lye kuch aisi aqedat dil men Apne hathon men duaon sa utha len tumko Jan dene ki b ijazat ni dete ho tum Wrna mrjaen to mar kar b mana len tumko Jistarhan rat k seene men he mhtab ka noor Apne tarek makanon men saja len tumko Ab to ek hi khwahish he ae WASI Kisi mor pr tm hm ko bikhre hwe mil jao to sanbhalen tumko. Itni shiddat se hmen tm pe pyar ata he, apni bahon main bharen mar hi dalen tmko.


                 7

Hijar ka Taara doob chala hai dhalny Lagi hai Raat Wasi~

Qatra Qatra baras rahi hay ashkon ki Barsaat Wasi~

Yun hi chup ki moharr Laga kr kab tak Gum’Sum betho gay

Khaamoshi se Dum ghut-ta hey chhero koi Baat Wasi~

Aaj to US ka chehra bhi kuch badla badla Lagta hey

Mausam badla duniya badli badal gaye Halat Wasi~

Chhor Wasi~ ab US ki yaden tujh ko pagal kr dein gi

TO Qatra hey woh daryaa hey dekh apni auqaat Wasi. 



                    


Ab tu mumkin he nahe us se mulaqat wasi

Ab tu arooj pe puhanchi hai us ke zaat wasi


wohe waday hain aur rasmon ke zanjeer baqi

kab badlalty hain zamanay ke riwayaat wasi


Aik woh thay keh ek doosray ko sochtay they ham

Ab miltay nahe donon k khayalaat wasi


Mairy har subha ka aghaaz tairay naam se ho

tairy yadon main kat’ti mairy har ek raat wasi


Tum kahan aur mairay peyar ka meayaar kahan?

Wo kitnay saadgi se kar gea yeah baat wasi 




                   9


Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,

Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka‌

Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,

Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka‌

Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy,

Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka‌

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,

Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka‌

Doston sy ‘WASI’ agar tumhain muhabbat hy,

Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka



                      10 


Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.

[ "Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai." ]

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai. 



                        11 


Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams. 



                          12


Wasi hum ne pyar kia tha
Ulfat ka iqrar kia tha

Amjad rung ik geet likha tha
usko apna meet likha tha

Neher kinarey, peepal chao'n
Un sey yeh izhar kia tha

Jana bosa lene do
dast-e-hina chu lene do

Talab na paiee, mausam badla
nadi kinara, gum sum pani
hum se aaj yeh kehta hai

Wasi kuoon-kar pyar kia tha
kyoun is ka iqrar kia tha 



                  13 


aag lehra ke chali hai use aanchal kardo
tum mujhe raat ka jalta hua jungle kardo
chaan sa misraa akela hai mere kagaz per
chhat per ajao mera shair mukammal kardo
main tunhein dil ki siasat ka hunar deta hoon
ab ise dhiip banaado,mujhe badal kerdo
apne aangan ki udaasi se zara baat karo
neem k sukhey howe pairh ko sandal kardo
tum mujhe chorr ke jaogi to marr jaoonga
yun karo jane se pehley mujhe pagal kardo



                  14 


Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko 



                   15 


Aj Hamain Ye Bat Samjh Ayee Hai
Tum Musam Ho Or Musam Har'jaee Hai

Tu Ne Kaisay Morr Par Choor Diya Hai Hum Ko
Dil Ki Bat Cho'paoon To Ros'wayee Hai

Tere Bad Bacha Hee Kya Hai Jeewan Main
Main Hon Beeghi Sham Hai Or Tanhayee Hai

Aj Mere Ankhoon Main Sawaan Utray Ga
Aj Bohut Din Bad Teri Yaad Ayee Hai

Aj Ki Raat Bohut Bhari Hai Donoo Par
Aj Mujhai Wo Khaat Loo'tanay Ayee Ayee Hai
Janay Main Kya Soch K Chup Hon Gum'Sum Hon
Janay Wo Kya Soch K Wapas Ayee Hai 




                       16



Tumhain Janan Ijazat Hai K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko

Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena

Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna

Tumhein Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena

Tumhain Bilkul Ijazat hai

K Jab Chaho Bhula Dena Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na............ 



                      17


Pt 1
Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi

Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhe Talash Karti Thi


Pt 2
Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataya Hai Badlon Ne ''Wasi"
Wo Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi


                       18



Pt 1
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main 



 




Pt 2
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga
usay bhi apne kiye ka malal hona hay
 



                         19



Aankhon se meri is liye laali nahi jati
yaadon se koi raat jo khali nahi jati

ab umr na mosam na wo rastay k wo palty
is dil ki magar khaam khyali nahi jati

maange tu agar jaan bhi to hans kar tujhe de dein
teri to koi baat bhi taali nahi jati

maaloom hamein bhi hain bhut se tere kisse
per baat teri hum se uchaali nahi jati

hamrah tere phool kilhati thi jo dil main
ab shaam wahi dard se khali nahi jati

hum jaan se jaeinge tabhi baat bane gi
tum se to koi raah nikaali nahi jaati



                       20


 
 Pt 1
apni khaatir jage ho soe ho
apni khaatir hanse ho roe ho

kis liye aaj khoe khoe ho
tum ne aansoo bhut peye apne

husn hi husn ho zahanat ho
ishq hon main tum to mohabbat ho

tum meri bus meri ammanat ho
jee liye jis qadar jeye apne

tum bhut saal reh liye apne
ab sirf mere liye mere ho kr raho

rehte ho ranjo gum k gheron main
dukh k aaseb k baseron main

kaise choron tumhen anderhon main
tum ko de don ga sub deye apne


Pt 2
tum bhut saal reh liye apne
ab sirf mere liye mere ho kr raho

tum azl se dukhon k dere ho
chahe khud ko gamon se ghere ho

jab se peda hoe ho mere ho
aaj kholein ge lab siye apne

tum bhut saal reh liye apne
ab sirf mere liye mere ho kr raho

ab mujhe apne dard sehne do
dil ki har aat dil se khene do

meri bhahon main khud ko bhene do
mudaton zakhm khud siye apne

tum bhut saal reh liye apne
ab sirf mere liye mere ho kr raho
 



  

2 comments: